Monday, 30 December 2013

Wo pyar yun karta hai sanbhalny nhi deta


Wo pyar yun karta hai sanbhaLny nhi deta

Phir dukh k samandr mein ubharny nahi deta

Us ki jafa b mash'hoor hai wafa k sath

Wo dard to deta hai par ronay nahi deta

Krta hai waar marham ko khanjr pe Laga k

Wo zakham to deta hai par marnay nahi detad

Jo torrta hai diL to aansu b bahata hai

Barbaad to karta hai par ujrrny nahi deta

Mehboob miLa hai hum ko ajeeb sa

Wo aag to Lagata hai par jaLnay nahi deta

No comments:

Post a Comment