Mirza Ghalib
Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai Galib
Naseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote
.....................................................................................
Ibn-e-Mariyam hua kare koi
mere dukh ki dava kare koi
Shura-o-aa_in par madaar sahi
aise qaatil ka kya kare koi
Chaal jaise ka.Di kaman ka teer
dil mein aise ke jaa kare koi
Baat par vaan zuban katati hai
wo kahen aur suna kare koi
Bak raha hun junoon mein kya kya kuchh
kuchh na samjhe Khuda kare koi
Na suno gar bura kahe koi
na kaho gar bura kare koi
Rok lo gar ghalat chale koi
bakhsh do gar khata kare koi
Kaun hai jo nahin hai haajatmand
kiski haajat rava kare koi
Kya kiya Khizr ne sikandar se
ab kise rahnuma kare koi
Jab tawaqqo hi uth gayi "Ghalib"
kyon kisi ka gila kare koi
Ye na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rahte yahi intezaar hota
Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhooth jaana
ke khushi se mar na jaate agar aitebaar hota
Teri naazuki se jaanaa ki bandha tha ahd boda
kabhi tuuna tod sakta agar ustavaar hota
Koi mere dil se poochhe tere teer-e-niimkash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
koi chaaraasaaz hota, koi gham_guzaar hota
Rag-e-sang se tapaktaa wo lahoo ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota
Gham agarche jaa.n_gusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
Kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri balaa hai
mujhe kya bura tha marnaa agar ek baar hota
Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyon na gharq-e-dariya
na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hota
Use kaun dekh saktaa ki yagana hai wo yakta
jo dui ki buu bhi hoti to kahin do chaar hota
Ye masaail-e-tasavvuf, ye tera bayaan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhte, jo na baadaa_Khwaar hota
Wo firaaq aur wo visaal kahan
wo shab-o-roz-o-maah-o-saal kahan
Fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise
zauq-e-nazara-e-jamaal kahan
Dil to dil wo dimaagh bhii na raha
shor-e-saudaa-e-khat-o-khaal kahan
Thi wo ik shakhs ke tasavvur se
ab wo raanaai-e-khayaal kahan
Aisa aasaan nahin lahuu ronaa
dil men taaqat jigar mein haal kahan
Hamse choota qimaar_Khana-e-ishq
waan jo jaayen girah mein maal kahan
Fikr-e-duniya mein sar khapata hoon
main kahan aur ye vabaal kahan
Muzamahil ho gaye quvaa 'Ghalib'
wo anaasir me.n aitadaal kahan
Saadagi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai
bas nahin chalta ki phir khanjar kaf-e-qaatil mein hai
Dekhana taqareer ki lazzat ki jo usne kaha
maine yah jaana ki goya yah bhi mere dil mein hai
Garche hai kis kis buraai se vale baayeen hama
zikr mera mujh se behtar hai ki us mahafil mein hai
Bas hujoom-e-na umeedi khaak mein mil jayagi
yah jo ik lazzat hamari sa_i-e-behasil mein hai
Ranj-e-rah kyon khe.nchiye vaamaandagi ko ishq hai
uth nahin sakata hamara jo qadam manzil mein hai
Jalwa zaar-e-aatish-e-dozakh hamara dil sahi
fitana-e-shor-e-qayamat kis ki aab-o-gil mein hai
Hai dil-e-shoriida-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai
Subscribe to:
Posts (Atom)