Mohsin Naqvi





Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!

Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!



Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!



------------------------------------------------------------------------------


Ab Mohabbat ki Wakaalat Nahi Ki Ja Sakti

Shehr Bhar se to Adaawat Nahi Ki Ja Sakti

.

Mera Chehra Meri Aankhain hain Salaamat Ab Bhi
Kon Kehta Hai Wazaahat Nahi Ki Ja Sakti
.
Baat ye Hai k koi Toot k Chaahay to Sahi
Her kisi se to Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti
.
Aankh Kehti Hai Kahin Aur Chalay Jaayen Hum
Dil ye Kehta Hai k Hijrat Nahi Ki Ja Sakti
.
Loh-e-Dil par Yehi Tehreer Likhi hay Mohsin
Ishq Waalon ko Naseehat Nahi Ki Ja Sakti.






Woh Kehta Rahta Hai Bari Majboorian Hain Waqt Ki
 “MOHSIN”
Saaf Lafzon Main Woh Khud Ko Bewafaa Nahiin Kehta!






Diya khud se bhuja dena

Hawa ko Or kia dena

Kabhi is tor se hansna

K Dunya ko Rula dena

Kabhi is rang main rona 

K khud pe Muskura dena

Main teri Dastras chahon

Mughe Aesi Dua dena
Main tera Barmala Mujrim
Mughe khul kr saza dena
Main tera Munfarid sathi
Mughe hat kr jaza dena
Mughe Acha laga Mohsin
Usay pa kr ganwa dena








. . .Sukhey nhi aaj tak tairi YADOO K Phool, MOHSIN
Main ne hamesha inko apne ANSUOO se tarr rakha hai. . .




Wo To Aaya Tha Kai Baar Manane Mujh Ko..

Mujh Say Doori Main Jo Guzri Thi Sunane Mujh Ko..


Main Ny Hi Tark_e_Ta'aluq Ki Qasam Kha Li Thi..
Yaad Aa Gay Phir LOG Purane Mujh Ko..

Kuch To Aadat Hai Aankhon Ko Chalak Jane Ki..
Kuch Khayalat Bhi Aate Hain Rulane Mujh Ko.

Us Ko Dekhon To Dil Ko Pashemani Hoti Hai
Jo Dikhate The Kabhi Khuwab Suhane Mujh Ko

Us Ne Aik Lamhe Main Andaz Badal Dala "Mohsin"..
Jis Ki Qurbat Main Lage Kitne Zamane Mujh Ko...







Ager Mujh Se Bicherne Ka Nahe Hai Gham Osay
 Mohsin

Tu Phir Khamosh Raaton Main Wo Akser Jagta Kiyu Hai






 Seeney se Lipat Ja Mere Khwabon se nikal Kar

Ik baar milein Hum bhi hijaabon se nikal Kar



Kirnon ki tarha baant zamaney mein Ujaala
Khushbu ki tarha Phael Gulabon se nikal Kar

Mai-Khanon Ki Soorat hain Teri Jheel si Aankhein
Doobey hain Jahan loog Shrabon se Nikal Kar

Mujh ko bhi gawara Nahin ab tujh se Bicharna
Dil bhi hai Pareshan Saraabon se nikal Kar

Rehney do abhi gardish-e-doraan mein he MohsiN
Behley gi tabiyat na Azaabon se nikal Kar...........!!





Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do

Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal

Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do

Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko

Meri Halat Kharab Rehnay Do

Chaand Badal Main Acha Lagta Hai

Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do

Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye

Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do

Un Ki Chokhat Ko Choom Lo “Mohsin”

Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!




Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha


Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha


Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha

Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha

Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!!!


-------------------------------------------------------------------------------------------


Uss zakhm k bharny me kuch dair tou lagti hai MOHSIN!!!
Jis zakham mein shamil ho kuch apno ki inaayat…!!


-----------------------------------------------------------------------------------------------------


Kal Rat Maine Apne Dil Se Bhi Taluk Torr Diya”
“Mohsin”
Kambakht tujhe Bhool Jane Ki Bat Karta Tha.


----------------------------------------------------------------------------------------------------


Wo Kitna Mehrban Tha Ke Hazaron Ghum De Gaya
*”Mohsin”*..!!
Hum Kitne Khud Gharz Nikle Kuch Na De Sake “MUHABBAT” K Siwa…


Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes