Parven Shakir





Sari duniya k riwajon sy adawat ki thi



Tum ko yad hai jab men ny ik himaqat ki thi



Usy razdan samajh kr bataya tha hal-e-dil apna



Par us shakhs ny meri zat sy baghawat ki thi



Jab kisi ki yadon ny Aankhon ko bhigoya tha meri



Maine ik nam ki tasbeh pe tilawat ki thi



Us ko chor k hansty hue ghar Aa kar



Itna roye thy k Ankhon ny qyamat ki thi



Mery ujarny ka sabab jab bhi kisi ny pocha to



Maine bas itna bataya k "MOHABBAT KI THI".


Ko baku phail gaye baat shinasai ki

Uss nay khusboo ki tarah meri pazeerai ki

Kaisay kah doon uss nay choor dia mujay

Baat tu sach hai mager baat hai ruswai ki

Woo kahin b giya lota tu merey pass aya

Bus yahi baat hai achi merey harjai ki

Uss nay jalti hoye pehshani pey jab hath rakha

Rooh tak aa gaye taseer maseehai ki

Aab b barsat ki ratoon mein baden toottah hai

Jaag utthi hai ajab khuwaishain angrai ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki
dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki




isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta hai



zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai dost
qarib main koi dariya zarur bahta hai



na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho jaye
dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta hai
mere badan ko nami kha gai ashkon ki
bhari bahar main jaise makan dahta hai





justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe
chand k hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha ham ko na simton ki khabar
shahar-e-namalum ki chahat magar karte rahe

ham ne khud se bhi chupaya aur sare shahar se
tere jane ki khabar dar-o-diwar karte rahe

wo na ayega hamain malum tha us sham bhi
intazar us ka magar kuch soch kar karte rahe
aj aya hai hamain bhi un uranon ka khayal
jin ko tere zaum main be-bal-o-par karte rahe



Ab Bhi Barsaat Ki Raaton Main Badan Toot’ta Hai
Jaag Uth’ti Hain Ajab Khwaahishein Angraai Ki


Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes