Nasir Kazmi



dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya

judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya

ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya

pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten
zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya

wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya

ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak
utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya




dil dharakne ka sabab yad aya
wo teri yad thi ab yad aya

aj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat main ajab yad aya

din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yad aya

tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yad aya

phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yad aya

hal-e-dil ham bhi sunate lekin
jab wo rukhsat hue tab yad aya

baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye wo jab yad aya





hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi
ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi
tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi
dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi
josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath
ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi
tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi
kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi



kaun is rah se guzarta hai
dil yun hi intazar karta hai

dekh kar bhi na dekhne wale
dil tujhe dekh-dekh darta hai

shahr-e-gul main kati hai sari rat
dekhiye din kahan guzarta hai

dhyan ki siriyon pe pichle pahar
koi chup k se paon dharta hai

dil to mera udas hai 'Nasir'
shahar kyon sayen-sayen karta hai



Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes