Wednesday, 25 September 2013

   

Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI
katra katra baras rahi hai ashkon ki barsaat WASI

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar dein ge
khushbu k dais mein le chal mujhko saath WASI

yun hi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baitho ge ?
kkhamoshi se dam ghut-ta hai, chero koi baat Wasi

aaj to usska chehra b kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat WASI

mere ghar khushboo ka ye raqs ussi k dam se hai
uss k saath chali jaye gi phoolon ki barsaat WASI

chor WASI ab usski yaadien tujhko pagal kar dein gi
tu qatra hai wo darya hai dekh apni aukaat WASI

No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes