Saturday 19 October 2013

Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko | Ghazal

    0

Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko


Mujhse tu puchne aya hai wafa k maa'ni
ye teri sada dili maar na dale mujhko


Main samandar bhi hun moti bhi hun gota zan bhi
koi bhi naam mera le k bula le mujhko


Tune dekha nahin aa'ine se aage kuch bhi
khudparasti mein kahin tu na ganwale mujhko


Kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aaj sata le mujhko


Khud ko main baant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko


Main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman
main hun gar phul to joode mein saja le mujhko


Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko


Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulane wale mujhko


Baadaa to phir baadaa hai main zahar bhi pi jaun "Qateel"
shart ye hai koi bahon mein sanbhale mujhko

No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes