Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsey Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qareeney Terey
Kisey Maloom Nahi Baaraa Maheeney Terey
Tera Sune Dehr Main Kuch Khoyega Kuch Payega
Apni Miyaad Basar Kar Key Chala Jayegaa
Tu Naya Hai To Dikha Subha Nayee,Shaaam Nayeee
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee
Aur Bhi Besabab Detey Hain Q Log Mubarakbadein
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki Qarvii Yaadein
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki
FAIZ Ney Likhi Hey Ye Nazam Niraley Dhab ki
No comments:
Write comments