Ibn-e-Mariyam hua kare koi
mere dukh ki dava kare koi
Shura-o-aa_in par madaar sahi
aise qaatil ka kya kare koi
Chaal jaise ka.Di kaman ka teer
dil mein aise ke jaa kare koi
Baat par vaan zuban katati hai
wo kahen aur suna kare koi
Bak raha hun junoon mein kya kya kuchh
kuchh na samjhe Khuda kare koi
Na suno gar bura kahe koi
na kaho gar bura kare koi
Rok lo gar ghalat chale koi
bakhsh do gar khata kare koi
Kaun hai jo nahin hai haajatmand
kiski haajat rava kare koi
Kya kiya Khizr ne sikandar se
ab kise rahnuma kare koi
Jab tawaqqo hi uth gayi "Ghalib"
kyon kisi ka gila kare koi
No comments:
Write comments