Ussi din ghar nahi Aata k jab Aane ko kehta ha
Magar kia Roothna us se, Wo Apni Dhun me rehta ha
Madarat-e-Alam me wo nahi shirkat ka kuch Qail
Na apne dukh batata ha na mere ranj sehta ha
Lab-e-Khamosh,Chasham-e-Khushak kia Samjhaye ge tugh ko
Jo barish Dil me hoti ha Jo Darya Dil me behta ha
Mujhe tujh se Juda rakhta ha or Dukh tak Nahi hota
Mere Andar to tere jesa ye Aakhir kon rehta ha
Khayal-e-Yar Abhi Roshan,Abhi Nazro'n se Ojhal ha
Abhi ye Reshmi Darya Paharo'n me he behta ha
No comments:
Write comments