Main aaina tha,wo mera khayaal rakhti thi
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi
Har aik maslay ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi,mujhe Hairat mein daal rakhti thi
main jab bhi Tark-e-Taluq ki baat karta tha
wo Rokti thi mujhe,kal pay taal Rakhti thi
wo mere dard ko chunti thi apni poroon se
wo mere wastay khud ko Nidhaal rakhti thi
wo Doobnay nahi deti thi dukh k darya mein
meray wajood ki nauw Uchaal rakhti thi
Duaain us ki Balaun ko rok leti thin
wo mere chaar soo Hathon ki Dhaal rakhti thi
ik aisi Dhun k nahi phir kabhi main ne suni
wo munfarid sa Hansi mein kamaal Rakhti thi
usay Nadamatain meri kahan Gawara thin
wo mere wastay asaan Sawaal rakhti thi
Bichar k us se main Dunya ki Thokaron mein hon
wo paas thi to mujhay La zawaal rakhti thi
sahar tha naam,ujaalay Ghulam thay us k
wo zindagi k Andhairay ujaal rakhti thi
wo muntazir meri Rehti thi Dhoop mein
main laut-ta tha to Chaoun Nikaal Rakhti thi
No comments:
Write comments