Friday, 6 January 2017

Sar-e-aaina mera aks hai

    0







Main Khayal hu kisi aur ka 
Mujhe sochta koi aur hai 
Sar-e-aaina mera aks hai 
Pas-e-aaina koi aur hai 

Main kisee ke dast-e-talab mein hoon 
To kisee ke Harf-e-Dua mein hoon 
Main Naseeb hoon kisee aur ka 
Mujhe Maangta koi aur hai 

Kabhee laut aaye to poochna 
Naheen dekhna use Ghaur se 
Jinhe Raaste pe khabar huee 
Ke ye Raasta koi aur hai 

Tujhe dushmanon kee khabar na thee 
Mujhe doston ka pata na tha 
Teree daastaan koi aur thee 
Mera wakiya koi aur hai

No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes