Ye na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jeete rahte yahi intezaar hota
Tere vaade par jiye ham to ye jaan jhooth jaana
ke khushi se mar na jaate agar aitebaar hota
Teri naazuki se jaanaa ki bandha tha ahd boda
kabhi tuuna tod sakta agar ustavaar hota
Koi mere dil se poochhe tere teer-e-niimkash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh
koi chaaraasaaz hota, koi gham_guzaar hota
Rag-e-sang se tapaktaa wo lahoo ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharaar hota
Gham agarche jaa.n_gusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota
Kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri balaa hai
mujhe kya bura tha marnaa agar ek baar hota
Hue mar ke ham jo rusvaa, hue kyon na gharq-e-dariya
na kabhi janaaza uthta, na kahin mazaar hota
Use kaun dekh saktaa ki yagana hai wo yakta
jo dui ki buu bhi hoti to kahin do chaar hota
Ye masaail-e-tasavvuf, ye tera bayaan 'Ghalib'
tujhe ham wali samajhte, jo na baadaa_Khwaar hota
No comments:
Write comments