Tuesday, 7 January 2014

Aankain

    0




Gulaab Aankhen Sharab Ankhen,

Yehi To Hein La-jawab Aankhen,

Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen , Azab Aankhen.

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi

Kbhi Sarapa Hijab Aankhen.

Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K

Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi

Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen.

Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay

Hazoor Aankhen Janab Aankhen.

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Koi Jawab Aankhen.

Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen

Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen.

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen

Giren To Kr Dain kamal ankhen.

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib

Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kuch Ye kheyal Ankhen

Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kamal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram kardi

Magr Rakhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal HueHen

Khuda k Banday Sambhal Ankhen

No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes