jo meri ankhon sey khuwab dekhu
tu aik shab bhi na so sako gey
keh laakh chahu na hans sakhu gey
hazaar chahu na ro sakhu gey
keh khuwab kiya azaab hein yeh
marey dokhon ki kitaab heiy yeh
rafaqatein in mein choth'ti hein
muhabatein in mein roth'ti hein
panuptien hein in mein wehshatein
azyatein in mein pohttien hein
unhein k dar sey khizan hein jazbey
unhein sey shaakhein si toot tien hein
ghamon ki bandish hein khuwab marey
dokhon ki barish hein khuwab marey
ubal raha hey dukhon ka lawa
rahein aatish hein khuwab marey
khayaal sarey jholus gaye hein
solagti khuwahish hein khuwab marey
ukharhti sansein hein zindagi ki
lahou ki sazish hey khuwab marey
jo meri ankhon sey khuwab dekhu
tu aik shab bhi na so sakhu gey
No comments:
Write comments