Kash main tere hasin hath ka kangan hota
tu bade pyar se bade chao se bade araman ke sath
apni nazuk si kalai mein chadhati mujh ko
aur betabi se furqat ke khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ke khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein aa kar mujhe chuma karati
tere honton ke shiddat se main dahak sa jata
raat ko jab bhi tu nindon ke safar par jati
marmari hath ka ik takiya banaya karati
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholane lagti janan
apni aankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh ke gulashan mein mahakata rehta
main tere jism ke aangan mein khanakata rehta
kuch nahi to yahi benam sa bandhan hota
kash main tere hasin hath ka kangan hota
No comments:
Write comments