Monday, 6 January 2014

Na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai

    0



na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai 
kis barhaman ne kaha tha k ye saal acha hai 

hum k dono ke giriftar rahe, jante hain 
daam duniya se kahin zulf ka jaal acha hai 

main ne poocha tha k akhir ye taghafil kab tak? 
muskurate huwe bole k sawaal acha hai 

dil na mane bhi to aisa hai k gahe gahe 
yar-e-be faiz se halka saa malaal acha hai 

lazatain qurb-o-judai ki hain apni apni 
mustaqil hijar hi acha na wasaal acha hai 

rahwan-e-rah-e-ulfat ka muqadar maloom 
in ka aaghaz hi acha na maal caha hai 

dosto apni jaga par ye haqeeqat hai faraz 
teri ghazlon se kahin tera ghazaal acha hai


No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes