Thursday 2 January 2014

Nazar Mein Zulmat Badan Mien Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha

    0

Nazar Mein Zulmat Badan Mien Thandak, Jamaal Kitna Ajeeb Sa Tha
Main Teri Chahat Main Ghar Sey Nikla tO Haal Kitna Ajeeb Sa Tha

Na Main Ney Us kO Khatoot Likhey Na Us Ney Meri Panaah Chahi
Khud Apni Apni Jaga Pey hum ko Malaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Na Jaaney Kaisey Naii ruton Mein Puraanii Yaadon Ki Naao doobii
Nazar Key Dariya Mein Aaney Waala Ubaal Kitna Ajeeb Sa Tha

Hathailiyon Pey Rakhey Chiraaghon ko KhUd Bhujaya Hawa Sey Pehlay 
Udaas mousam Main Be-Basii Ka Yeh Saal Kitna Ajeeb Sa Tha

Safar Akailey Hii Kaat Lo Gey, Main Ney Poocha to ro Para wo 
Jawaab Kitna Ajeeb Sa Tha Sawaal Kitna Ajeeb Sa Tha

No comments:
Write comments

Services

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

More Services

© 2016 Urdu Poetry. Designed by Bloggertheme9 & Distributed by MyBloggerThemes