Woh jo hum mein’ tum mein’ qaraar tha, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho-
Wahi yaani waada nibaah ka, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
Woh jo lutf mujh pe the peshtar, woh karam ke tha mere haal par-
Mujhe sab hai yaad zara zara, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
woh naye gile woh shikaayatein’, woh maze maze ki hikaayatein-
woh har aik baat pe roothna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
kabhi baithe sab mein’ jo ru-ba-ru, to ishaaraton’ se hi guftagu-
woh bayaan shauq ka barmalaa, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
koi baat aisi agar hui, ke tumhare ji ko buri lagi-
to bayaan’ se pehle hi bhoolna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
kabhi hum mein’ tum mein’ bhi chaah thi, kabhi hum se tum se bhi raah thi-
kabhi hum bhi tum bhi the aashna, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
suno! zikr hai kai saal ka, ke kiya aap ne ek waadaa tha-
so nibaahne ka to zikr kya, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
jise aap ginte the aashnaa, jise aap kehte the baawafaa-
main’ wahi hun’ Momin’ mubtala, tumhein’ yaad ho ke na yaad ho..
No comments:
Write comments